Check out my new blog => Devious Explorer

Friday 8 June 2012

Benefits And Lose Of IPL

                                       Last month IPL me cheer leaders ko kathak kartey hua dekha to hasi aae or kuch der ke liye me soch me dub gya. Socha ki aaj se 20-30 sal bad, kahani kuch is tarah hogi:-

                                            Meri shadi ho chuki he or IPL ka 25th ya 26th season chal raha he.kisi din merey ladkey ki teacher mujhey school bulati he ussey related koe problem discuss karney k liye.Me soch me dub gya k mene to apney school days me to aisa koe kand nae kiya k teacher merey parents ko college bulaye to ye khubi merey bachcho me kha se aae??? Chalo koe nae, me school jata hu or puchta hu k aakhir kya problem he us teacher ko.
 
To usneyey kha,
“Mr. Vinay, aapka bachcha to nihayat badtamiz he.”

Mene pucha, “aakhir kaise??”

                                           To teacher ne explain kartey hua bataya ki wo kal class me india ki ancient dance forms bata rahi the or jab mene ussay ek dance form ka nam pucha to wo pahchan nahi paya. Fir mene usay us dance form ki video bhe dikhae (aakhir smart class ka zamana he bhae ^^ ) to aaapka ladka usey katahakali khney k bajaye khney lga k ye to IPL ki cheerleader he. Boht achcha nachti hain”

                                      Ye Sun k to merey dimag hil gya.aakhir merey bachchey k dimag ye bat aae kha se?? Benefit ke barey me to BCCI or IPl se related Companies he  mujhsey baehtar janey par ghata to mujhey abhi teacher key muh se pata chala.


                                          Ye to sirf bangi bhar he ki IPl ka hmarey samaj par kya fark parta he. Ye team-owners apni apni team ko alag dikhaney k chakkar me Indian ancient dance ka jo fuhad ruup dikha rhay he, wo na sirf samaj par prabhav dal rha he, balki ho sakta he ki jo me soch rha hu shayad wo sach ho jaye.Ye bat bilkul sahi he ki inadian har videshi chez ka “BHARTIYEKARAN” kar detey he. Lekin is tarah ki chear leading ko dekh mujhey un logo ki soch pe taras aata he jo isay “Cool” or “Hot” mantey he.Jis tarah Swimming kartey waqt Sadi nahi pahan saktey, kuch usi tarh ki shartain is chear leading par bhe lagu hoti he. Lekin jis tarh ka aaena IPL k log hamey dikhana chahtey he,wo sirf ek “FEEL GOOD FACTOR” ki tarah he.

Hope,kisi din is k din purey ho jayengey :D

1 comment:

  1. Wonderful blog post. This is absolute magic from you! I have never seen a more wonderful post than this one. You've really made my day today with this. I hope you keep this up!
    Chakkar Aana in English

    ReplyDelete