Pichley
kuch dino se news channel par prime time par bhe breaking news dekhe P. Chidambaram
ji k barey me.Vaisey to ye kuch naya nae
he aajkal. News channel par kuch bhe breaking ho sakta he aaj-kal. But bad me
pata chala ki ye to aam aadmi ka chakkar he. Wo kah rhey they ki unhoney aam
aadmi ki khilli udae. But mere hisab se to unhoney sach he kha. Arey sari galti
aam aadmi ki hoti he.
Bhaley he garmi both he or hamari sarkar bhe kahti he ki “Ho Raha Bharat Nirman” . So hamari so called
“developed janta” ice cream kharid he leti he. Aakher hamari sarkar bhe to
aanajo-chawlo ko aam aadmi tak pahuchana chahti he. Wo bat alag bat he ki is
pahuchaney ke chakkar me inkey rate kafi upar pachuch jatey he. Lekin hamari
sakar k iradey to nek hain na.koe shaq
??
Rahi bat lakho
ton aanajo ke sadney ki,to ismey bhe
hamari sarkar ki koe galti nae.Akher ham itna khatey he to hamrey kisan bhae
log bhe usi hisab se aanaj ugatey he. Ab
hamari sarkar ki utni capacity nae to usmey uski kya galti. Itna aanaj uga
letey hain,har chez ki bhe limit hoti hain (PLZ
ISMAY SCAMS KO NA GINA JAYE,Shukriya J )
Bisleri ki
botal bhe kahridney ka koe tuk nae.aakher hamari sarkar itna 100% Pure pani
hamey deti hain,to fir ye bisleri ki zarurat kisey?!! Wo to hamarey MLA’s ke liye hain jo hamarey
desh ko develope karney k liye itni mahnat kartey he or 2G,3G jaise facilities
datey he. Ab thodi pyas to lagti hain. Ab bisleri nae piyengey to bimar hona lazimi
he.isiliye,Bisleri only Nata logo ke
liye hoti he. Wo bat alg he ki in mahnat ke kamo ke bich pata nae scams kha se
aa jatey hain. Lekin iradey to nek hain na.koe shak ??
Others party ke log khtey hain ki hamrey
home minister ko aam aadmi ki thali ka bhaw nae pata. Arey me kahta hu ki sab
pata he. Bas wo bat alag he ki parliament me wo sab chezey sasti milti hain.
Tabhe to 50 kg ke sath Parliament me aaney wala aadmi 4 years bad 80 kg ke sath
wapas aata he. Lekin iradey to nek hain. Koe shaq ??
So next time
agar koe kahta hain ki ismey kisi politician ki galti he, So please meri request he ki “Please, Think again”J. Nek irado ko samjhey.
No comments:
Post a Comment